सोमवार, 10 अक्तूबर 2011

Mujhko ek aur saza dena, mere khet ki tarah..



Mujhko ek aur saza dena, mere khet ki tarah
Meri yaaden bhi jala dena, mere khat ki tarah

Sochta tha ke mere khat ka jawaab aayega,
Meri murjhayi umango pe shawab aayega,
Fir sajegi wahi pahle ki tarah ki mahfil,
Fir tere haath se eak jaam-e-sharaab aayega,
Mere sab khwaab mita dena.
Meri yaden bhi jala dena,
Mere khat ki tarah..

Tumne kitne bhi chubhoye hai labo ke lashkar,
Dard sahta hi raha haath na rakha dil par,
Ab bhi hai waqt se takrane ki himmat mujhme,
Kaat sakta hu mai shishe se hazaro pattar
Dur rah kar hi duwa dena,
Meri yade bhi jala dena,
Mere khat ki tarah..

Mai teri jeet tha, ab haara huwa yaar hu mai
Apni najron me magar aaj bhi khuddar hu mai,
Aaj tak kuch bhi nahi manga hai maine tujhse,
Eak ahsaan kao itna to hakdaar hu mai
Dard ki umar ghata dena,
Meri yaden bhi jala dena,
Mere khat ki tarah..
Share: